Blogger Template Ko Phone Me Edit Kaise Kare

Blogger Template Ko Mobile Me Edit Kaise Kare – How To Edit Blogger Template In Mobile

Blogger Template Ko Mobile Me Edit Kaise Kare Hindi
Blogger Template Ko Edit Karne Ke Tarike ko sikhne ke liye kaafi log search karte rahte hai. 
Kya aap bhi ek Blogger hai? 
Kya aap bhi apni template ko Edit karna cahte hai?
Agar aap ek Blogger hai to ye post khaash aaj aapke liye hai. Aaj ki post me aapko mai btaaunga ki ham Apne mobile me easily kaise Apne blogger template ko edit kar sakte hai.
Blogger templates ko edit karne ke liye aam taur par ham PC ka istemaal karte hai jisme ham Pc me kisi bhi Text Editor ka use kar lete hai. Magar jyadatar blogger’s ke paas Pc Available nahi hote to wo Mobile me hi apni Blogging suru kar dete hai. 
Blogger ko ham waise to Pc aur mobile me dono me hi achhe se Edit kar sakte hai magar jyadatar log samjh nahi paate ki ham kaise isko Edit kar sake.
Jyada time naa lete hue ham apni post ki taraf jaate hai, jisme aapko mai suru se aakhir tak apne blogger ki HTML code ko mobile me edit karna sikhaunga.

Blogger Templates HTML Edit karne ke Tarike

Waise to ham Apne mobile me 2 type se edit kar sakte hai. jisme aap usko Offline aur Online dono kar sakte hai.
Agar aap Blogger Ki Template ko Mobile Me Change Kaise Kare Sikhna Cahte hai to Click Kare.

Online Editing karne ke liye aapko apne Blogger Dashboard me hi jana padega. Par agar aapko Offline karna hai to Uske liye Text Editor apps ka istemaal karna pdega. Last me mai aapko Text Editor apps ke baare me btaunga jha se aap Apne blogger template ko aasaani se edit kar sakte hai.

Template Edit karne ki Process

Online Process:

1. Sabse pahle aap apna Browser Open karke Blogger Dashboard ko open kar le.
Mai aapko recommend karunga ki aap Google Chrome ka istemaal kare.
2. Ab aapko Apna Blogger Dashboard Page Desktop Version me on karna hai. Jiske liye aapko Chrome Setting me jakar Desktop Site par click karna hai.
Blogger Template Ko Mobile Me Edit Kaise Kare
3. Ab aap apne Blogger Dashboard me Theme Option par click kare.
Blogger Template Ko Mobile Me Edit Kaise Kare
4. Theme Edit karne se pahle aap apne Blogger ko New Version me change kar lijiye. Kyonki New version Old Version se jyada stable hai Edit karne me.
5. Ab aapko Right corner me 3 Dots milenge us par click kakre Edit HTML button par click kare.
Blogger Template Ko Mobile Me Edit Kaise Kare
6. Jaisa maine aapko picture me dikhaya hai Aapke samne full page par Codding najar aa rahi hogi.
Ab isko edit karne ke liye aapko Ek step istemaal karna hai jis se aap isko Edit kar paaoge.
Blogger Template Ko Mobile Me Edit Kaise Kare
7. Jha se aap code ko edit karna cahte hai wha par jakar aapko Apne finger se us area par 3 second ke liye hold rakhna hai jis se Line Cursor us jagh par aa jayega. Uske baad aap isko edit kar sakte ho.

Mobile me Edit karne ki Kamiya

Agar aap apne blogger template ko mobile me edit kar rhe hai to aapko usme koi bhi Text Copy nahi kar sakte. Aap sirf isme Paste kar sakte hai. Aapko jo code paste karna hai wo aapko pahle hi Copy kar lena hai jo aapke Copy Clipboard me save ho jata hai.

Offline Process: 

Ab mai aapko kuch aiese Apps ki list dene wala hu jis se aap apne Blogger template ka backup lene ke baad usko aasaani se edit kar sakte hai..

Mai aasha karta hu aap aaj ke post se blogger template ko mobile me edit karna sikh gye honge.
Agar phir bhi aapko kisi type ka issue aa rha hai to aap mujhe Comment me apna sawal de sakte hai.
Agli baar milta hu aapse kisi alag topic ke sath, tab tak ke liye aap sabhi ko Good Bye..
#helpinhindi #helpinhindi.in #helpinhindiblog

3 thoughts on “Blogger Template Ko Phone Me Edit Kaise Kare”

Leave a Comment