Blogger Me Comment reCAPCHA Kaise Disable Kare

Blogger Comment me reCapcha Kaise Remove Kare

How To Disable Google Comment reCAPCHA Verification

Blogger Me Comment reCAPCHA Kaise Disable Kare iske baare me aap kaafi search karte honge. Kaafi logo ko is feature ko istemaal karne me mjaa aata hai aur kisi kisi ko ye feature achha nahi lagta jo isko apne blogger comment se remove karna cahte hai.

Comment reCapcha se aapko ek tarah se Spam comment ke aane ka khatra bilkul khatam ho jata hai, kyonki jab aapki post par koi comment karega to usko is process se guzarna pdega. jisko ham kaafi achha feature maan sakte hai.

Magar kuch log Blogger Comment reCapcha ko remove karne ki isiliye bhi sochte hai taaki jo bhi person comment kare wo bina koi problem ke safely apne view ya problems btaa sake.

To aaj ham isii ko sikhte hai ki Kaise ham apne Blogger Comments ko User Ke liye aasaan bnaa sakte hai. Us se pahle ham ye jaan le ki reCapcha Code kya hota hai aur iska istemal kyu kiya jata hai.

Also Read: Write First Blog Post ( Begginers )

reCapcha Verification kya hai?

reCapcha Verification Google ke dawara provide ki gyi security hai jo aapko spammer aur unethical activity se bachha sakti hai.
Ye Google ke dawara provide kiya hua verification panel hota hai jisko verify karna jaruri hota hai. Isme aapko 9 box images show hogi jisko aapko solve karna hota hai.

reCapcha Verification kyu Jaruri hai?

Google reCapcha Verification ka istemaal Spam activity se bachne ke liye kiya jata hai. Internet ki dunia me kaafi log Spam post karne se baaz nahi aate wo apni Site ka backlinks yaa kisi ki advertising karne ke liye kaafi lamba post kar dete hai aur usko Apne pages ya articles par paste karke chhod dete hai jiska hamare

blogger post par koi kaam nahi hota hai. Inhi Activity ko Kahatam karne ke liye Google ne reCapcha Verification ko bnaya hai. Jis se koi kisi bhi tarah ke Auto comment karne wale tools ko use naa kar sake.

Disable Blogger Comment reCapcha Verification Step

Ab ham Blogger ki comment reCapcha Verification ko remove karna sikhenge jo aapke users ko kaafi benefits de sakta hai.

1. Sabse pahle aap Apne Blogger Dashboard me jakar SettingPosts, comments and sharing wale option par click kare.

Remove reCAPCHA Verification in Blogger

2. Ab aapko Show Word Verification ke Option par jana hai. Jha par aapko Yes milega.
Wha par aapko Yes ki jagah NO karke Save Setting par click kar dena hai.

Finally In 2 steps ke andar hi aapka Blogger Comment Word Verification wali process band ho jaayegi. Jis se koi bhi person aasaani se, bina koi reCapcha Verification kiye apna comment kar sakta hai.

Agar aapko kisi bhi tarah ki koi problem aati hai yaa kuch puchna hai to aap mujhe freely comment box me comment karke puch sakte hai. Mai aapko jald hi Reply karne ki koshish karunga.

Ab aap hamare sath Telegram par bhi Jud sakte hai. Agar aapko hamare telegram group ko Join karna cahte hai to aap Click Here button ko dabakar Directly Group me jakar join ho sakte hai.

#helpinhindi.in #helpinhindi #helpinhindiblog

2 thoughts on “Blogger Me Comment reCAPCHA Kaise Disable Kare”

Leave a Comment